Kachahari (court) ke paas advocate ka chamber, sarkari kaam ke kaagaz, school ke notice — Varanasi me Hindi typing ki maang aaj bhi bahut hai. VedantSri Placement Cell se Mangal, Kruti Dev aur English typing ki practice kiye candidate paaiye. Unki speed ka record profile me hota hai, aur aap interview me khud test le sakte hain.
Hindi / English Typist chahiye? Neeche free form bhariye ya office me call kijiye: 8808888478. Na employer se fees, na candidate se.
Kis business ko Hindi / English Typist chahiye hota hai
- Advocate aur notary — application, affidavit, agreement
- Photocopy aur DTP centre — form aur application typing
- School, college aur coaching — notice, prashn-patra
- Sarkari kaam karne wali agency aur dafttar ke paas ki dukaan
Hamare candidate kya-kya kar sakte hain
- Hindi typing — Mangal (Unicode) aur Kruti Dev
- English typing — letter, application
- Word me formatting, page number, print
- Hand-written matter se sahi typing
- Proof padhkar galti sudharna
Ye candidate kaunse course se aate hain
Zyadatar candidate VedantSri ke students hote hain jinhone in me se koi course poora kiya hai:
Candidate ke VedantSri certificate par QR code hota hai — use scan karke course aur grade online jaanch sakte hain.
Interview me Hindi / English Typist ko aise parkhiye
- Hamare free typing test par 5 minute ka test lijiye — speed aur galti dono dikh jaati hain.
- Haath se likha ek page dijiye — padhkar sahi type karna asli kaam hai.
- Kruti Dev aur Mangal dono me ek-ek para.
Ye 5 sawaal zaroor poochhiye
- Aap Remington layout jaante hain ya Inscript? — Court/purana kaam Remington (Kruti Dev) par, naya Unicode Inscript/Remington GAIL par.
- Kruti Dev ka matter email me kyon toot jaata hai? — Wo Unicode nahi hai; Mangal me badalna padta hai.
- Speed kitni hai? — Test lijiye — net speed (galti ghatakar) dekhiye.
- Lamba document me page number kaise? — Insert > Page Number.
- Galti kaise kam karte hain? — Proof padhna aur spell check.
Aur sawaal chahiye? Free typing test (Hindi aur English).
Hire karte waqt aam galtiyan
- Sirf English test lena jab kaam Hindi ka ho.
- Gross speed dekhna, net speed nahi.
- Font aur layout pehle na batana.
Staff kaise milega — 4 kadam
- Neeche form bhariye (mobile OTP se pakka hota hai) — pad, kaam, samay, vetan aur yogyata likhiye.
- Hamari team aapko call karke kaam ki jagah, interview aur shartein pakki karti hai.
- Aapki haan ke baad naukri hamare students tak aur Job Vacancy in Varanasi board par jaati hai — aapka naam, number aur pata nahi.
- Milte-julte candidate ka profile aapko milta hai; interview aap lete hain aur rakhne ka faisla aapka hota hai.
VedantSri sirf milaane me madad karta hai — candidate milne ki guarantee nahi deta, aur rakhne se pehle kaagaz aur kaam ki jaanch aap khud kijiye. Poore niyam Placement Cell panne par.
Hindi / English Typist ke liye free form
Aksar poochhe jaane wale sawaal
Kya court ke kaam wala typist milega?
Hamare candidate Kruti Dev aur Mangal dono sikhte hain. Court ke format ka anubhav chahiye to form me likhiye.
Typing test kahan lein?
Hamara free online typing test kholkar candidate se wahi test karwa sakte hain.
Kya iski koi fees hai?
Nahi. Employer se koi placement fees nahi, aur candidate se bhi kabhi paisa nahi liya ja sakta.
Doosre staff ke liye
- Accountant / Tally Operator
- Computer Operator / Office Assistant
- Data Entry Operator
- Excel / MIS Executive
- Data Analyst
- Graphic Designer
- DTP Operator
- Website Designer
- Video Editor
- Python Developer
- Digital Marketing Executive
- Receptionist / Front Office
VedantSri Placement Cell — sabhi tarah ka staff · Varanasi ki verified job vacancy
